Wednesday, 15 May 2013
HAADSOWAALA PYAR PART-I
Mohit har
sunday ki tarah aaj bhi shaam ko
market band hone se pahle jaldi jaldi
dher saari sabjiya kharid chuka tha aur
unhe liye khushi -khushi chal raha tha
uski aadat hi hafte mai kya kya karna
hai sab kuch woh sunday ko hi tay kar
leta yaha tak ki usae agar kisi dost se
milna hai toh kaisa milna hai kya
bolna hai yeh bhi soch ki rakhta agar
koi achanak mil gaya toh usae kuch
samajh nahi aata kya karna
chahiye,woh jhoomta hua chal raha
tha tabhi piche se achanak tezi se ek
scooty aayi aur uske haatho ko zor se
takkar marke saari sabjiyo ko hawa
mai udaate aage jaake ruki,Mohit
ekdum chauk gaya usae pata nahi tha
aisi situation mai karna chahiye par
hafte bhar ki sabjiya zameen par gira
dekh bada dukh ho raha tha,daudti
hui ek ladki aayi pareshaani hairaani
uske chahre se saaf jhalak rahi thi,i m
really sorry mai thoda jaldi mai thi
aapki sabji kitney rupay ki hai mai de
dungi,Ladki ne bina ruke Mohit se
kaha,Mohit mundi niche karte huae
bola ab toh market band ho chuka hai
aur ab is purae hafte mai khaunga
kya,Mohit ka bholapan dekh ladki ko
thodi sararat sujhi aur kaha kyo
sunday ko sabjiya muft mai milti
hai,Mohit ne gusse se uski wor dekha
kaha naam kya hai tumhara,Niyati
ladki ne kaha, Dekho Niyati mujhe
mere haal pe chhod do aur tum
jao,Niyati ne kaha ok but i m really
sorry kahte hui chali gayi, thodi bahot
bachi sabziya lekar Mohit ghar aa gaya
bahot adjust karne pe hafte bhar
sabjiyo ka kaam chalne waala plan
tayyar ho gaya tha, Agli subah Mohit
ko ek multinational company se deal
karne jaana tha Mohit gaadi mai se
apni file liye utar hi raha tha tab tak
piche se tez uncontroll aati hui
scooter ne mohit ko takkar maari
Gaadi mai thode scratch aaye is baar
hatho par chhot lagi aur saare paper
hawa mai udne lage jaise hi woh ladki
scooter controll kar Mohit ke saamne
aayi Mohit ko bahot gussa aaya aur
chillate huae kaha mujhe maarne ka
contract liya hai kya do din se mujhe
pareshaan karke rakha hai mere puri
presentation kharab ho gayi,Niyat ne
haath dekar Mohit ko uthaya kaha i m
really sorry maine kal hi nayi scooty li
hai isliye abhi thoda controll karne
mai problem ho rahi hai aap ke
haatho mai toh chot lagi hai laiye mai
dekhti hu i m a doctor.Mohit ne kaha
toh apni dukaan chalane ke liye logo
ko maarti phir rahi ho,Niyati ne bas
muskura diya Mohit ka gussa bhi
shaant ho chuka tha, Niyati ne apne
bag se kuch dawaiya nikal kar Mohit
ke haatho par lagai.
Mohit ne
ghadi ki wor dekhte huae kaha wo
shit mai 10min late ho gaya aur
presentation bhi gayi jaldi se phone
nikaal ke secratry ko call kiya ha wo
meri Regal ke saath meeting thi unhe
call karke kaho mai bas unke pass aa
raha tha infact unke office mai bhi
pahoch gaya tha par ab mujhe lagta
hai unka Project had se jyada kharab
hai Mohit bolta ja raha tha Niyati dawa
laga chuki thi fir bhi Mohit ke haath
par haath malte ek tuk Mohit ka
chahera nihaar rahi thi,Mohit ne
phone rakhte huae kaha Thank you
for your help agar tum chaho to
tumhe kahi chhod du,Niyati ne kaha
no thnx waise bhi maine aapko itna
pareshaan kiya hai really sorry ab
mujhe jaana chahiye Mr...,Mohit Mohit
ne sentence pura karte huae kaha ok
Mr.Mohit kahte huae Niyati chali gayi
agle 2 ghanto tak Mohit ke pass koi
kaam nahi tha jo tha usae to Niyati ne
khatm karwa diya tha,Niyati ke baare
mai sochte sochte do ghante kaise bit
gaye Mohit ko pata hi nahi chala
Niyati Mohit par puri tarah se chaa
chuki thi Mohit aaj thoda muskurata
hua ghar laut raha tha halki halki pahli
baarish aisi lag rahi thi maano uski
khushi mai har koi shaamil hai,khushi
jyada der ki nahi thi achanak Mohit ki
gaadi naaraz ho gayi matlab kharab
ho gayi jyada raat toh nahi hui thi par
pahli baarish ki wajah se taxi rickshaw
kuch nahi mil raha tha tabhi Mohit ki
nazar Baarish mai bhigti Niyati aur
accident karnewaali uski scooter dikh
gayi Mohit ne haath dikha kar
roka,Niyati ne haste huae kaha aap
kya kare hamara yaad saher bahot
chhota hai ab aapne kisika accident
kar diya kiya,nahi wo meri gaadi
achanak kharab ho gayi hai mera ghar
abhi door plz. Help me Mohit ne nazre
jhukaate huae kaha, ok mera ghar
pass mai hi hai ap chal sakte hai aur
aap khaana bhi kha lijiyega aakhir
maine aapki bhaaji jo girayi thi,mujhe
koi problem nahi hai par tumhaare
gharwaalo ko koi pareshaani toh nahi
hogi? Mohit ne pucha,Niyati ne kaha
nahi mere ghar sirf mai aur mere
parents hai unhe koi problem nahi
hogi Niyati ne kaha, Mohit ne kaha ok
par hum chal ke chal sakte hai mujhe
tumhari driving pe bahot bharosa hai
tum yahi parking mai apni scooty
khadi kar do, aur dono dheere dheere
baarish mai bhigte bhigte baate karte
chalne lage dher saari baate karne ke
baad ghar aaya...to be continued
<Short love stories in hindi>
<premkahani>
<Love kahani>
<Pyar-vyar ki kahaniya>
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment