Thursday, 18 July 2013

Rainy Night

June ke shuruaati din thae raat mai baarish ne dastak dekar sabko khusu kar diya tha Sumeet apna saara kaam khatam karke haath mai chai ka cup lekar balcony mai khaada pichle kai saalo se baarish naa jaane kyu sumeet ko sone nahi deti khaaskar pahli baarish hamesha usae Sonam ki yaad dila deti dilaye bhi kyu na dono pahli baar pahli baarish mai hi toh mile thae un dino Sumeet is saher mai bilkul akela aur naya tha uske office ka aaj pahla din khatm hua ha ki baarish ne bin bulaye mehmaan ki tarah dastak dedi Sumeet ek kiraye ka ghar lekar rahta jo uske office se bahot dur tha settlement ke shuruaati dino mai aksar aisi pareshaaniya hoti hi hai Sumeet jhoomta baarish ke maje lekar Bus stop ke bajaye paidal chalne laga sadke ekdum khaali thi kuch aage jaane par halki halki barsaat mai bheegi pariyo  se bhi sundaar thoda hairran pareshaan ek ladki khadi maano kisi ka intejaar kar rahi hi Sumeet toh usae dekhte hi basdekhta hi rah gaya tabhi Excuse me ki aawaz se jaise Sumeet nind se jaaga achanak chaukte huae haa kya hua kahte Sumeet ka badan kaapne laga tha kya mai aapka phone use kar sakti hu uski aawaz usse bhi jyada sundar aur mithaas bhari thi jo kisi ko bhi sammohit kar le,Sumeet ne jeb se phone nikaal kar kaapte huae haato se bina kuch kahe de diya,oho aapke phone mai bhi network nahi hai dekhiye naa bich raaste meri gaadi kharab ho gayi hai ab mai kya karu gusse mai phone Sumeet ko dete Sonam ne kaha,waise mai software engineer hoo par mujhe thoda knowledge kya mai dekh sakta hu gaadi,unki luck achhi thi thoda bahot yaha waaha haath lagane se gaadi start ho gayi Sonam ki khushi ka toh thikaana naa raha  usne Sumeet ko chhedte huae kaha woh toh ab software engineer gaadiya bhi thik karte hai,Sumeet ne bas mukuraa diya aap kaha jaa rahe hai chaliye mai chhod deti hu,bas yahi se unki kahaani aage badhi kareeb ek saal mai hi dono ke gharwaalo ke razamandi se shaadi bhi ho gayi,Sonam ko vakil bankar saare mujrimo ko jail bhejna tha par gharwaalo ne graduation ke baad break laga diya tha Sumeet Sonam ko bahot chahta tha Sonam ne shaadi ke baad Sumeet ke jor dene par Law college mai admission le liya tha ghar ka kaam dono mil baatkar karte,unke shaadi ko ek saal ho chuke thae aaj pahli baarish ho rahi thi Sumeet ne kaha Sona jab maine tumhe pahli baar us baarish mai dekha thaa to bahot darr gaya tha tum mujhe bhoot nahi nahi chudail lag rahi thi ,Sonam ghurte huae kaha tum bhi koi Shahrukh khan nahi dikh rahe thae mujhe toh darr lag raha tha kahi koi chor toh nahi dono saath mai hass pade 3 saal ho gaye na un baato ko sumeet ne hasi kam karte huae kaha phir bhi chudail ke saath zinda ho kahte sonam aur hass padi,unki zindagi khushi se chal rahi thi ki unke pyaar ko kisi ki nazar lag gayi,Sumeet ke phone par subah se koi ladki baar baar phone karke preshaan kar rahi thi phone par Sumeet ke baare mai bahot kuch batati par jab sumeet puchta tum kaun ho phone kat jaata Sumeet ne Sonam ko bhi bataya Sonam ne chidhaate huae kaha oh kisi aur ke saath affair chal raha hai mujhe pata bhi nahi aur has padi,Sona yaha isne mera dimaag kharab kiya hai aur tumhe mazaak sujh raha hai Sumeet ne thoda gussa dikhaate huae kaha,achha baaba sorry agli baar jab phone aaye toh  usse puchnaa woh chahti kya hai Sonam ne kaha,tarkeeb kaam kar gayi phone karne waali ne milne ki ichha jatai,Sunday shaam ko Sumeet ke ghar hi milna tay hua, woh samay aa gaya door bell baji Sumeet ne bade utsaah aur gusse mai darwaaza khola par darwaaza kholte hi chauk gaya woh koi aur nahi uski bachpan ki dost Neha thi jo kai saal baad canada se India lauti thi dono college ke dino tak saath pada karte thae teeno ke bich ghanto baate hui Neha lunch karke ghar jaa chuki thi Sonam kuch naaraz thi agar baat Sumeet ke affairs ki hoti toh shaayad usae itna bura nahi lagta,sote samay Sonam ne kaha Sumeet tumne achha nahi kiyamere liye tumne apne sapne chhod diye,kya kah rahi ho Sona tumhaare sapne mere sapne alag thodi hai Sumeet ne samjhaate huae kaha Sona rone lagi,aare criminal lawyers rote bhi hai Sumeet ne mahol samhaalne ki koshish karte huae kaha,Sumeet baat mat kaato aaj mujhe ahsaas hua  ki tum apne liye nahi mere liye jee rahe ho Sonam ne aasoo pochte huae kaha,Sona agar mai tumhaare liye jee raha hoo toh mujhe iska koi afsosh ya dukhnahi hai haa agar mai tumhaare begair jee raha hu toh shaayad mar jaana behtar hai Sumeet ne bhi thode gusse mai kaha,Sonam aage kuch nahi boli bas roti rahi Sumeet usae manate thak gaya toh karwat badalkar so gaya subah jab aakh khuli toh Sonam so rahi thi Sumeet usae bina jagaye bagal mai chai ka cup aur niche ek paper may tum meri zindagi se badhkar ho kal ka din apne zindagi se nikkal do sona dekho ek nayi subah tumhaara intezaar kar rahi hai likhkar cup ke niche rakhke tayyar hokar Sumeet office chala gaya,shaam ko ghar lauta toh Sonam ghar par nahi thi ek letter rakha tha jsme likha tha maine tumhaari zindagi ke 3 saal barbad kiye bas ab aur nahi mujhe manane ki koshish mat karna mai hamesa ke liye paapa ke ghar jaa rahi hu Sumeet ne Sonam ke paapa ko phone kar seedhe pucha Sonam aayi haa sunte hi phone kaat diya,In baato ko aaj 2 saal ho chuke thae Sumeet ke cup mai chai khatm ho gayi thi ghar se bina chhaata liye woh barsaat mai bheegne nikal gaya raaste usae Sonam ke ghar ke taraf khich le gaye darwaaze par bahot time khade rahne ke baad bhi bell bajane ki himmat nahi hui nuch time baad kisine bahar jaane ke liye darwaaza khola Sumeet ko us haal mai dekhkar andar bula liya purae ghar mai halchal mach gayi Sumeet ke kaano may kai logo ke tarah tarah ke sawaal sunayi de rahe thae sab ansuna karke Sumeet ne Sonam ke paapa se pucha Sona kaha hai woh chup chap aage chalne lage aur Sumeet unke piche Sona ki haalat dekhkar Sumeet ekdum ghabra kar Sonam ke paapa ki wor dekha unhone kaha beta hum sab ko tujhse naa milne aur naa baat karne ki kasam dekar isne aatmhatya karne ki koshish ki doctor ne bacha toh liya par yeh koma mai pichle do saalo se hai kahte kahte bahar chale gaye aur darwaaza band kar diya Sumeet rote huae Sona ko gale laga liye Sona thoda thoda movement karne lagi agle 4 dino tak Sumeet Sona ke saath raha Sona hosh mai aa gayi Sumeet ne kaha Sona tumne yeh kya kar liya,tumne kaha tha tumhaari zindagi meri hai par jab zindagi naa rahe toh jeene ka kahte kahte Sonam rone lagi Sumeet ne usae gale laga liya dono apne ghar waapis aa gaye kuch dino mai Sonam bilkul achhi ho gayi,fir Sonam ne Sumeet se wahi sawaal kiya tumne mere liye apne sapne kyo chhod diye Sumeet ne kaha jise daayan pakad leti hai phir woh aazad nahi ho sakta,Sonam muskuraate huae choroko daayan se darr nahi lagta?Sumeet muskuraate kahta hai woh toh pata nahi par chor bina pari ke saath ke nahi rah sakta,Sonam bhaauk hote is chor ne toh pari ko hi chura liya, Sumeet aage badhkr Sona ke hontho ko chumne lagta hai.............................THEY LIVE HAPPILY FOREVER


Wednesday, 15 May 2013

HAADSOWAALA PYAR PART-I


Mohit har
sunday ki tarah aaj bhi shaam ko
market band hone se pahle jaldi jaldi
dher saari sabjiya kharid chuka tha aur
unhe liye khushi -khushi chal raha tha
uski aadat hi hafte mai kya kya karna
hai sab kuch woh sunday ko hi tay kar
leta yaha tak ki usae agar kisi dost se
milna hai toh kaisa milna hai kya
bolna hai yeh bhi soch ki rakhta agar
koi achanak mil gaya toh usae kuch
samajh nahi aata kya karna
chahiye,woh jhoomta hua chal raha
tha tabhi piche se achanak tezi se ek
scooty aayi aur uske haatho ko zor se
takkar marke saari sabjiyo ko hawa
mai udaate aage jaake ruki,Mohit
ekdum chauk gaya usae pata nahi tha
aisi situation mai karna chahiye par
hafte bhar ki sabjiya zameen par gira
dekh bada dukh ho raha tha,daudti
hui ek ladki aayi pareshaani hairaani
uske chahre se saaf jhalak rahi thi,i m
really sorry mai thoda jaldi mai thi
aapki sabji kitney rupay ki hai mai de
dungi,Ladki ne bina ruke Mohit se
kaha,Mohit mundi niche karte huae
bola ab toh market band ho chuka hai
aur ab is purae hafte mai khaunga
kya,Mohit ka bholapan dekh ladki ko
thodi sararat sujhi aur kaha kyo
sunday ko sabjiya muft mai milti
hai,Mohit ne gusse se uski wor dekha
kaha naam kya hai tumhara,Niyati
ladki ne kaha, Dekho Niyati mujhe
mere haal pe chhod do aur tum
jao,Niyati ne kaha ok but i m really
sorry kahte hui chali gayi, thodi bahot
bachi sabziya lekar Mohit ghar aa gaya
bahot adjust karne pe hafte bhar
sabjiyo ka kaam chalne waala plan
tayyar ho gaya tha, Agli subah Mohit
ko ek multinational company se deal
karne jaana tha Mohit gaadi mai se
apni file liye utar hi raha tha tab tak
piche se tez uncontroll aati hui
scooter ne mohit ko takkar maari
Gaadi mai thode scratch aaye is baar
hatho par chhot lagi aur saare paper
hawa mai udne lage jaise hi woh ladki
scooter controll kar Mohit ke saamne
aayi Mohit ko bahot gussa aaya aur
chillate huae kaha mujhe maarne ka
contract liya hai kya do din se mujhe
pareshaan karke rakha hai mere puri
presentation kharab ho gayi,Niyat ne
haath dekar Mohit ko uthaya kaha i m
really sorry maine kal hi nayi scooty li
hai isliye abhi thoda controll karne
mai problem ho rahi hai aap ke
haatho mai toh chot lagi hai laiye mai
dekhti hu i m a doctor.Mohit ne kaha
toh apni dukaan chalane ke liye logo
ko maarti phir rahi ho,Niyati ne bas
muskura diya Mohit ka gussa bhi
shaant ho chuka tha, Niyati ne apne
bag se kuch dawaiya nikal kar Mohit
ke haatho par lagai.
Mohit ne
ghadi ki wor dekhte huae kaha wo
shit mai 10min late ho gaya aur
presentation bhi gayi jaldi se phone
nikaal ke secratry ko call kiya ha wo
meri Regal ke saath meeting thi unhe
call karke kaho mai bas unke pass aa
raha tha infact unke office mai bhi
pahoch gaya tha par ab mujhe lagta
hai unka Project had se jyada kharab
hai Mohit bolta ja raha tha Niyati dawa
laga chuki thi fir bhi Mohit ke haath
par haath malte ek tuk Mohit ka
chahera nihaar rahi thi,Mohit ne
phone rakhte huae kaha Thank you
for your help agar tum chaho to
tumhe kahi chhod du,Niyati ne kaha
no thnx waise bhi maine aapko itna
pareshaan kiya hai really sorry ab
mujhe jaana chahiye Mr...,Mohit Mohit
ne sentence pura karte huae kaha ok
Mr.Mohit kahte huae Niyati chali gayi
agle 2 ghanto tak Mohit ke pass koi
kaam nahi tha jo tha usae to Niyati ne
khatm karwa diya tha,Niyati ke baare
mai sochte sochte do ghante kaise bit
gaye Mohit ko pata hi nahi chala
Niyati Mohit par puri tarah se chaa
chuki thi Mohit aaj thoda muskurata
hua ghar laut raha tha halki halki pahli
baarish aisi lag rahi thi maano uski
khushi mai har koi shaamil hai,khushi
jyada der ki nahi thi achanak Mohit ki
gaadi naaraz ho gayi matlab kharab
ho gayi jyada raat toh nahi hui thi par
pahli baarish ki wajah se taxi rickshaw
kuch nahi mil raha tha tabhi Mohit ki
nazar Baarish mai bhigti Niyati aur
accident karnewaali uski scooter dikh
gayi Mohit ne haath dikha kar
roka,Niyati ne haste huae kaha aap
kya kare hamara yaad saher bahot
chhota hai ab aapne kisika accident
kar diya kiya,nahi wo meri gaadi
achanak kharab ho gayi hai mera ghar
abhi door plz. Help me Mohit ne nazre
jhukaate huae kaha, ok mera ghar
pass mai hi hai ap chal sakte hai aur
aap khaana bhi kha lijiyega aakhir
maine aapki bhaaji jo girayi thi,mujhe
koi problem nahi hai par tumhaare
gharwaalo ko koi pareshaani toh nahi
hogi? Mohit ne pucha,Niyati ne kaha
nahi mere ghar sirf mai aur mere
parents hai unhe koi problem nahi
hogi Niyati ne kaha, Mohit ne kaha ok
par hum chal ke chal sakte hai mujhe
tumhari driving pe bahot bharosa hai
tum yahi parking mai apni scooty
khadi kar do, aur dono dheere dheere
baarish mai bhigte bhigte baate karte
chalne lage dher saari baate karne ke
baad ghar aaya...to be continued

<Short love stories in hindi>
<premkahani>
<Love kahani>
<Pyar-vyar ki kahaniya>

Sunday, 21 April 2013

Mere saamne waali khidki mai

Ek dusre ko bas roj ghanto khidkiyo se dekha karte yeh silsila  A-Wing ki  fifth floor ke khidki aur saamne waali C-wing ke Fourth floor ki window ke bich kareeb do mahino se chal raha tha aur kabhi dono mile bhi nahi thae shayad woh itne jaldi ek dusre ko face nahi karna chahte thae ek din dono achanak society ke gate pe takra gaye kuch chan chahre pe ek mushkaan liye bas ek dusre ko dekh rahe thae fir achanak hui is mulakat se Mayur thoda hadbada gaya ji Myself Mayur saamne waale building mai rahta hu Mayur ne apna intro dete huae kaha, ji mai Neelam C-wing mai rahti hu maine aapko dekha hai aap bhi toh roz dekhte hai Mayur thoda jhep sa gaya bas muskura diya aur Bye bol kar dono apne-apne wing ki taraf badh gaye aaj raat mai kuch alag baat thi aaj Mayur ko chaand kuch jyada hi chamakta nazar aa raha tha dil mai ek alag si khushi thi roz ki tarah aaj bhi khidki waala silsila chala par aaj baat kuch alag thi shayad dono ka ghar lautne ka time same tha isliye ab roz hi bye hone laga yeh silsila bhi mahino chala ek din himmat karke Mayur ne kaha ji kal sunday hai agar aap free hai toh ghar pe chai ke liye aaiye, ji bilkul Neelam ne muskuraate huae kaha,ji kitne time aana pasand karengi Mayur ne kaha,ji woh toh surprise hoga Neelam ne kaha tab tak raasta alag hone ka samay aa gaya dono Bye bolkar chale gaye ghar pahoch kar Mayur ne bhaiyya se kaha kal meri ek khaas dost chai pe aa rahi hai thoda achhi chai banaiega ,bhaiyya ne khichai karte huae kaha bas dost hi ya kuch aur aaj tak koi ladka frnd nahi aaya ayr aaj sidha,bhaiyya Mayur ne baat kaatte huae kaha kya aap bhi aur khaate khaate bhaiyya ko sab kuch bata diya bhaiyya hi Mayur ke sab kuch thae maata pita ne bachpan mai saath chhod diya tha tabse bhaiyya hi sab kuch thae aaj raat bhar Mayur ko Neend nahi aayi usae samajh nahi aa raha thaa kal woh Neelam se kya baat karega jaise-taise subah hui subah se hi woh tayyari mai lag gaya bhaiyya ne kaha ek kuch achha sa gift le aao Mayur ko yeh sujhao pasand aaya karib char baj rahe thae Mayur ne socha itne time thodi koi aayega woh jaldi se market ki aur badha Mayur ghar se nikla hi tha tabhi bell baji bhaiyya ne darwaaja khola saamne ek ladki thoda pareshaan si khadi thi bhaiyya ne dekhte hi kaha Neelam aao-aao tumhara hi intejaar ho raha tha ghabrao mat mai Mayur ka bada bhai hu Neelam thoda hichkichate huae ghar mai aa gayi,baitho mai paani lata hu bhaiyya ne kaha bhaiyya ne Neelam ko paani diya aur baith gaye chuppi todte huae Neelam ne kaha ji bas aap dono hi rahte hai bhaiyya ne haa ke saath puri History khol di phir bhaiyya ne pucha aapke ghar kaun kaun rahta hai Neelam ne thoda udaas hote huae kaha meri haalat bhi aap jaisi bhi bas daada daadi rahte hai mummy papa ki accident mai death ho gayi thi bhaiyya ne kaha sorry tabhi phone baaja Mayur ka phone tha bhaiyya lkne phone speaker pe kar diya Mayur ne kaaha bhaiyya kya lu kuch samajh nahi aa raha bhaiyya ne haste huae kaha beta yeh toh tujhe pahle sochna chahiye tha ab jo bhi tujhe achha lage jaldi se lekar aa kahte huae bhaiyya ne phone kaat diya,yeh sab sunkar neelam bas muskura rahi thi phone rakhkar bhaiyya ne Neelam se pucha tumhe Mayur pasand hai,Neelam ne sharmaate huae kaha haaa bhaiyya ne kaha tumne apne ghar pe bataya hai unhe koi aitraaz toh nahi hoga Neelam ne kaha bataya toh nahi par unhe aitraaz nahi hoga,bhaiyya ne kaha toh hamare parivaar mai tumhaara swagat hai Neelam ne bas muskura diya fir yaha waaha ki baate hone lagi tab tak Mayur aa gaya Neelam ko dekhkar thoda hairaan hua fir bhaiyya ki wor dekha dono bas muskuraa rahe thae Mayur kuch samajh paata usse pahle Neelam ne kaha achha ab mujhe chalna chahiye bhaiyya ne bhi kaha haa bilkul Mayur ko kuch samajh nahi aa raha tha hadbadate huae Mayur kuch kahni hi jaa raha tha tab tak Neelam uthkar chali gayi,kuch dino baad dono khidkiya ek ho gayi...contact meor mail ur review at broguer@ymail.com or ibroguer@gmail.com

Sunday, 7 April 2013

Sapno waala pyar

Duniya mai sabse uljhi zindagi shayad ek Painter ki hoti hai jo apne saare dukh apne painting ke jariye logo ke saath share kar dete hai samajhne waale unka dard samajhte hai aur na samajhne waalo ke liye woh ek khoobsurat kala hoti hai log jyadatar painters ke sirf naam jaante hai bahot kam aise painters hote hai jinke chahro ko log pahchante hai, aisa hi ek chupa hua painter tha Tanmay jise shayad hi uske asli naam se koi jaanta lekin Painter Chand ko har painting ka diwana jaanta tha shayad hi is waqt ussae mashoor koi painter ho uski painting mo bachpan mai apne parivaar se bichadne ka dard hota par uske kuch paintings mai ek pari chupi hoti,asal zindagi mai woh bahot akela sa tha door se uska bada sa ghar dekhkar aisa lagta mano woh ghar saalo se khaali pada ho Tanmay apna saara kaam khud karta woh itna akela tha ki uska koi dost tak nahi tha, par phir bhi uski zindagi mai koi tha,haesha woh raat hone ka intejaar karta,raat hote hi jaldi se so jaata kyoki uske sapne mai aati uski sapno ki paari aur dono raat bhar khoob baate karte,subah hote hi woh pari Tanmay ko jagah kar kahi gayab ho jaati aur tanmay ko subah hone ka ek mitha afsosh hota aur woh apne kaam mai lag jaata ek din Tanmay  apni paintings ki Exhibition se laut raha tha red signal pe ruke achanak Tanmay ki nazar bagal waali gaadi par padi usmae baithi ladki ko dekh kar Tanmay ko aisa laga maano yahi woh pari hai ji roz uske sapno  mai aati hai  Tanmay soch hi raha tha tab tak signal green ho chuka bagal waali gaadi aage badh gayi piche ki gaadiya horn bajane lagi tanmay  bina kuch soche samjhe us gaadi ka picha karne laga  kuch aage jakar woh gaadi ruki woh ladki utar gayi tanmay ne apni gaadi bilkul slow kardi us ladki ko waaha chhodkar gaadi chali gayi tanmay ne gaadi rok di aur ek tuk us ladki ko kisi ka intejaar karte dekh raha tha achanak Tanmay gaadi se utra aur us ladki ki wor badha aur puch liya kya hu ek dusre ko jaante thoda azeeb sa mooh banakar Tanmay ki wor dekhkar kuch samay baad muskuraate hui boli ha Tanmay yeh baat Tanmay ko thoda aaschary hua aur usne puch liya kaun ho tum usne muskuraate huae kaha khud hi pahchaano,Tanmay ne thoda sochne ke baadkaha kisi ka intejaar kar rahi ho,ladki ne haste huae kaha tumhara hi,ab uski harkato ko dekhte huae Tanmay ne jor se kaha Nilam tum kaha lapata ho gayi th?,Nilam aur Tanmay kai saal pahle kai painting exhibition mai mile thae Tanmay aajtak samajh nahi paya tha ki usae Nilam se pyaar ho gaya hai,Nilam ne muskuraate huae kaha chalo kam se kam pahechaan toh gaye agar free ho toh saamne cafeteria mai cofee pine chale Tanmay ne kaha kyo nahi,dono ne ghanto baat ki baato baato mai Tanmay ne Nilam ko sab kuch bata diya,Nilam ne bas muskura diya jaate jaate Tanmy ne kaha Nilam I love you Nilam ne bas muskura diya aur baato ka silsila aage badha kuch dino baad Nilam hamesha ke liye Tanmay ki ho gayi... THIS IS MY FIRST STORY ON BLOG SEND YOUR REVIEW AT broguer@ymail.com,ibroguer@gmail.com *THANK YOU* Tags:-short love stories in hindi, prem kahani