Ek dusre ko bas roj ghanto khidkiyo se dekha karte yeh silsila A-Wing ki fifth floor ke khidki aur saamne waali C-wing ke Fourth floor ki window ke bich kareeb do mahino se chal raha tha aur kabhi dono mile bhi nahi thae shayad woh itne jaldi ek dusre ko face nahi karna chahte thae ek din dono achanak society ke gate pe takra gaye kuch chan chahre pe ek mushkaan liye bas ek dusre ko dekh rahe thae fir achanak hui is mulakat se Mayur thoda hadbada gaya ji Myself Mayur saamne waale building mai rahta hu Mayur ne apna intro dete huae kaha, ji mai Neelam C-wing mai rahti hu maine aapko dekha hai aap bhi toh roz dekhte hai Mayur thoda jhep sa gaya bas muskura diya aur Bye bol kar dono apne-apne wing ki taraf badh gaye aaj raat mai kuch alag baat thi aaj Mayur ko chaand kuch jyada hi chamakta nazar aa raha tha dil mai ek alag si khushi thi roz ki tarah aaj bhi khidki waala silsila chala par aaj baat kuch alag thi shayad dono ka ghar lautne ka time same tha isliye ab roz hi bye hone laga yeh silsila bhi mahino chala ek din himmat karke Mayur ne kaha ji kal sunday hai agar aap free hai toh ghar pe chai ke liye aaiye, ji bilkul Neelam ne muskuraate huae kaha,ji kitne time aana pasand karengi Mayur ne kaha,ji woh toh surprise hoga Neelam ne kaha tab tak raasta alag hone ka samay aa gaya dono Bye bolkar chale gaye ghar pahoch kar Mayur ne bhaiyya se kaha kal meri ek khaas dost chai pe aa rahi hai thoda achhi chai banaiega ,bhaiyya ne khichai karte huae kaha bas dost hi ya kuch aur aaj tak koi ladka frnd nahi aaya ayr aaj sidha,bhaiyya Mayur ne baat kaatte huae kaha kya aap bhi aur khaate khaate bhaiyya ko sab kuch bata diya bhaiyya hi Mayur ke sab kuch thae maata pita ne bachpan mai saath chhod diya tha tabse bhaiyya hi sab kuch thae aaj raat bhar Mayur ko Neend nahi aayi usae samajh nahi aa raha thaa kal woh Neelam se kya baat karega jaise-taise subah hui subah se hi woh tayyari mai lag gaya bhaiyya ne kaha ek kuch achha sa gift le aao Mayur ko yeh sujhao pasand aaya karib char baj rahe thae Mayur ne socha itne time thodi koi aayega woh jaldi se market ki aur badha Mayur ghar se nikla hi tha tabhi bell baji bhaiyya ne darwaaja khola saamne ek ladki thoda pareshaan si khadi thi bhaiyya ne dekhte hi kaha Neelam aao-aao tumhara hi intejaar ho raha tha ghabrao mat mai Mayur ka bada bhai hu Neelam thoda hichkichate huae ghar mai aa gayi,baitho mai paani lata hu bhaiyya ne kaha bhaiyya ne Neelam ko paani diya aur baith gaye chuppi todte huae Neelam ne kaha ji bas aap dono hi rahte hai bhaiyya ne haa ke saath puri History khol di phir bhaiyya ne pucha aapke ghar kaun kaun rahta hai Neelam ne thoda udaas hote huae kaha meri haalat bhi aap jaisi bhi bas daada daadi rahte hai mummy papa ki accident mai death ho gayi thi bhaiyya ne kaha sorry tabhi phone baaja Mayur ka phone tha bhaiyya lkne phone speaker pe kar diya Mayur ne kaaha bhaiyya kya lu kuch samajh nahi aa raha bhaiyya ne haste huae kaha beta yeh toh tujhe pahle sochna chahiye tha ab jo bhi tujhe achha lage jaldi se lekar aa kahte huae bhaiyya ne phone kaat diya,yeh sab sunkar neelam bas muskura rahi thi phone rakhkar bhaiyya ne Neelam se pucha tumhe Mayur pasand hai,Neelam ne sharmaate huae kaha haaa bhaiyya ne kaha tumne apne ghar pe bataya hai unhe koi aitraaz toh nahi hoga Neelam ne kaha bataya toh nahi par unhe aitraaz nahi hoga,bhaiyya ne kaha toh hamare parivaar mai tumhaara swagat hai Neelam ne bas muskura diya fir yaha waaha ki baate hone lagi tab tak Mayur aa gaya Neelam ko dekhkar thoda hairaan hua fir bhaiyya ki wor dekha dono bas muskuraa rahe thae Mayur kuch samajh paata usse pahle Neelam ne kaha achha ab mujhe chalna chahiye bhaiyya ne bhi kaha haa bilkul Mayur ko kuch samajh nahi aa raha tha hadbadate huae Mayur kuch kahni hi jaa raha tha tab tak Neelam uthkar chali gayi,kuch dino baad dono khidkiya ek ho gayi...contact meor mail ur review at broguer@ymail.com or ibroguer@gmail.com
No comments:
Post a Comment