Sunday, 21 April 2013
Sunday, 7 April 2013
Sapno waala pyar
Duniya mai sabse uljhi zindagi shayad ek Painter ki hoti hai jo apne saare dukh apne painting ke jariye logo ke saath share kar dete hai samajhne waale unka dard samajhte hai aur na samajhne waalo ke liye woh ek khoobsurat kala hoti hai log jyadatar painters ke sirf naam jaante hai bahot kam aise painters hote hai jinke chahro ko log pahchante hai, aisa hi ek chupa hua painter tha Tanmay jise shayad hi uske asli naam se koi jaanta lekin Painter Chand ko har painting ka diwana jaanta tha shayad hi is waqt ussae mashoor koi painter ho uski painting mo bachpan mai apne parivaar se bichadne ka dard hota par uske kuch paintings mai ek pari chupi hoti,asal zindagi mai woh bahot akela sa tha door se uska bada sa ghar dekhkar aisa lagta mano woh ghar saalo se khaali pada ho Tanmay apna saara kaam khud karta woh itna akela tha ki uska koi dost tak nahi tha, par phir bhi uski zindagi mai koi tha,haesha woh raat hone ka intejaar karta,raat hote hi jaldi se so jaata kyoki uske sapne mai aati uski sapno ki paari aur dono raat bhar khoob baate karte,subah hote hi woh pari Tanmay ko jagah kar kahi gayab ho jaati aur tanmay ko subah hone ka ek mitha afsosh hota aur woh apne kaam mai lag jaata ek din Tanmay apni paintings ki Exhibition se laut raha tha red signal pe ruke achanak Tanmay ki nazar bagal waali gaadi par padi usmae baithi ladki ko dekh kar Tanmay ko aisa laga maano yahi woh pari hai ji roz uske sapno mai aati hai Tanmay soch hi raha tha tab tak signal green ho chuka bagal waali gaadi aage badh gayi piche ki gaadiya horn bajane lagi tanmay bina kuch soche samjhe us gaadi ka picha karne laga kuch aage jakar woh gaadi ruki woh ladki utar gayi tanmay ne apni gaadi bilkul slow kardi us ladki ko waaha chhodkar gaadi chali gayi tanmay ne gaadi rok di aur ek tuk us ladki ko kisi ka intejaar karte dekh raha tha achanak Tanmay gaadi se utra aur us ladki ki wor badha aur puch liya kya hu ek dusre ko jaante thoda azeeb sa mooh banakar Tanmay ki wor dekhkar kuch samay baad muskuraate hui boli ha Tanmay yeh baat Tanmay ko thoda aaschary hua aur usne puch liya kaun ho tum usne muskuraate huae kaha khud hi pahchaano,Tanmay ne thoda sochne ke baadkaha kisi ka intejaar kar rahi ho,ladki ne haste huae kaha tumhara hi,ab uski harkato ko dekhte huae Tanmay ne jor se kaha Nilam tum kaha lapata ho gayi th?,Nilam aur Tanmay kai saal pahle kai painting exhibition mai mile thae Tanmay aajtak samajh nahi paya tha ki usae Nilam se pyaar ho gaya hai,Nilam ne muskuraate huae kaha chalo kam se kam pahechaan toh gaye agar free ho toh saamne cafeteria mai cofee pine chale Tanmay ne kaha kyo nahi,dono ne ghanto baat ki baato baato mai Tanmay ne Nilam ko sab kuch bata diya,Nilam ne bas muskura diya jaate jaate Tanmy ne kaha Nilam I love you Nilam ne bas muskura diya aur baato ka silsila aage badha kuch dino baad Nilam hamesha ke liye Tanmay ki ho gayi... THIS IS MY FIRST STORY ON BLOG SEND YOUR REVIEW AT broguer@ymail.com,ibroguer@gmail.com *THANK YOU* Tags:-short love stories in hindi, prem kahani
Subscribe to:
Posts (Atom)